Wednesday, April 9, 2008

The first of its Kind


AAKASH AUR TUM

Aakash ko dekho kabhi naya nahi lagta
Par uske bina to sab pura nahi lagta
Tumko jane to kuch pal huye hai
Pal bhi aise jo bahoot khash huye ha

Neela jo hai who neela hi rahega
Hamesha badlo se ghira na rahega
Kabhi kuch baatein aisi kar jate ho
Bato hi bato mei bahoot kuch kah jate ho

Na suraj ko koi geela hai us se
Na barish kabhi ruka hai us se
Jjitni mashumiyat sayad tum mei hai
Utne hi tum kabile taarif ho

Aankh khuli bhi uske neeche hai aur
Band karte waqt bhi uske neeche hongi
Sath tumko hamesha rahna hoga
Kyu ki tumko bhulna namumkin hoga

Aakash ko to roj dekha tha
Par uske bare mei kabhi socha na tha
Tumse to ab tak mile bhi nahi hai
Par likhte likhte abhi thake bhi nahi hai

Yu  to aakash ne kabhi mazboor nahi kiya
Ki tumko likhne baithe aur who yaad aa gaya!!!!!